/* remove this */ Blogger Widgets /* remove this */

Thursday, March 22, 2012

UPTET : Student Organizations Angry for Lathicharge on TET Candidates, And burn meninquin of CM to oppose it


टीईटी अभ्यर्थियों के साथ सरकार के बर्ताव पर उखड़े छात्र संगठन - लाठीचार्ज के विरोध में सीएम का पुतला फूंका
(UPTET : Student Organizations Angry for Lathicharge on TET Candidates, And burn meninquin of CM to oppose it )

इलाहाबाद। टीईटी उत्तीर्ण बेरोजगारों पर लखनऊ में लाठीचार्ज के विरोध में विभिन्न छात्र और सामाजिक संगठनों ने प्रदेश के मुख्यमंत्री का पुतला फूंककर विरोध दर्ज कराया है। इलाहाबाद विश्वविद्यालय छात्रसंघ भवन पर बुधवार को आइसा की ओर से मुख्यमंत्री का पुतला फूंका गया। छात्रों ने लाठीचार्ज के दोषी पुलिस अधिकारियों पर कार्रवाई की मांग की है।
आइसा ने लाठीचार्ज के विरोध में छात्रसंघ भवन से जुलूस निकाला। जुलूस में छात्रों ने ‘लाठी गोली की सरकार नहीं चलेगी’ के नारे लगाए। पुतला दहन के बाद आइसा नेता रामायन राम ने कहा कि प्रदेश के युवाओं और छात्रों के बल पर समाजवादी पार्टी सत्ता में आई है। आइसा के प्रदेश उपाध्यक्ष सुनील मौर्य ने कहा कि इस घटना से स्पष्ट हो गया कि सपा और बसपा दोनों की कार्यशैली में कोई अंतर नहीं है। पुतला दहन में रघुनंदन यादव, दिनेश, शालू यादव, सौरभ यादव, नीतू, सच्चिदानंद सहित बड़ी संख्या में छात्र-छात्राएं शामिल रहे।
एआईडीएसओ ने भी लाठीचार्ज की निंदा की है। निंदा करने वालों में पवन श्रीवास्तव, राजवेन्द्र सिंह शामिल हैं। सामाजिक एकता परिषद की ने भी लाठी चार्ज की निंदा की है। परिषद के ओम प्रकाश शुक्ल ने कहा कि युवा मुख्यमंत्री से ऐसे बरताव की बेरोजगारों को उम्मीद नहीं थी। निंदा करने वालों में रवीन्द्र सिंह चौहान, धनंजय राय, अभय सिंह, नरेश शर्मा, अमित सिंह सहित छात्र शामिल रहे।
टीईटी अभ्यर्थियों पर हुए लाठीचार्ज के विरोध में बुधवार को आइसा कार्यकर्ताओं ने विश्वविद्यालय में मुख्यमंत्री का पुतला जला कर प्रदर्शन किया


News : Amar Ujala (22.3.12)

160 comments:

  1. ~DOSTO Hum logo 6-7 Months se pareshan hein....

    ~Isliye sub kuch NEGATIVE hi lag raha hei...

    ~IS NEWS ko GALAT MAT Samjho ye SAB aap k 20 MARCH ki EKJUT HONE ka natija hei....

    ~ALWAYS HAMARI EKTA BANI RAHE.....~

    ReplyDelete
  2. kya yaar hum par jo hua hum sah chuke, aur aage bhi jo hoga mil kar dekhenge, lekin yeh putala kisne phunka yeh ghalat hai, isme police ke ghalti thee, c.m. Ke nahi,

    ReplyDelete
  3. @plz.dosto aap logo ke support ke liye dhanyabad magar c.m. Sahib ka putla funkna galat hai kyonki lathicharz ka order unhone nahi diya .ham log AHINSHA KE RASTE PAR LUCKNOW ME THE AUR AAGE BHI RAHENGE .

    ReplyDelete
  4. Friends ek good news h ki ramabai nagar police ne chargesheet me spast likha hai ki sirf 36 candidates ne gavah k roop me kaha hai ki humse rupees liye gaye the aur koi kaam nahi ho paya isse jahir hota hai ki dhandhli ki jo baat karte the usme koi dam nahi hai.Aur hum sabhi logon ki jeet sunishchit hai.
    Ajit Rajput Ajitmal,Auraiya-7351641548

    ReplyDelete
  5. friends keep patience ...every thing will be fine we will win .......but don't try anything like putala phookana etc......

    ReplyDelete
  6. sahi kah rahi h priya ji.,.,sp sarkar ka kam suru ho gaya h jis ke liy ye jani jati hai.,.,.,.

    ReplyDelete
  7. बदल सकता है प्राइमरीस्कूलों में शिक्षकों की भर्ती कामानक
    कमल तिवारी/एसएनबी
    लखनऊ । प्राथमिक स्कूलों में शिक्षकों के रिक्त पदों पर भर्ती का मानक बदलना तय है। अब शिक्षक पात्रता परीक्षा (टीईटी) की मेरिट की बजाय पांच गुणांक की मेरिट से शिक्षकों की भर्ती हो सकती है। बेसिक शिक्षा सेजुड़े अफसरों ने इसकी कवायद शुरू कर दी है। फिलहाल अंतिम निर्णय विभागीय मंत्री की मंजूरी के बाद कैबिनेट सेहोगा। उल्लेखनीय है कि सूबे में मायावती सरकार ने आरटीई तो लागू कर दियाथा, लेकिन परिषदीय स्कूलों में 72825 और सम्बद्ध प्राइमरी में आठ हजार से ज्यादा शिक्षकों के पद रिक्त हैं। राष्ट्रीय अध्यापक शिक्षा परिषद ने सूबे को विशिष्ट बीटीसी की मंजूरी देने की बजाय राज्य स्तर पर शिक्षक पात्रता परीक्षा को मानक बनाने की मंजूरी दे दी। आरटीई के तहत शिक्षकों केरिक्त पदों को भरने के लिए पूर्व सरकार को 31 दिसम्बर 2011 तक की मोहलत मिली, लेकिन अध्यापक पात्रता परीक्षा(टीईटी) को लेकर लगातार मानक बदलते गये। पहले तो विशिष्ठ बीटीसी की भांति चार गुणांक का आधार बनानेकी सहमति बनी। राज्य मंत्रिमण्डल से इसकी मंजूरी भी मिल गयी, लेकिनजब नियुक्ति की बारी आयी तो तत्कालीन बेसिक शिक्षा सचिव ने शिक्षक भर्ती के मानक को टीईटी की मेरिट बना दिया और इसका शासनादेश जारी करके आयोजक माध्यमिक शिक्षा परिषद व सचिव को इसी के मुताबिक भर्ती प्रक्रियाआगे बढ़ाने के निर्देश दिये। 13 नवम्बर 2011 को टीईटी परीक्षा और 25 नवम्बर को 2011 को टीईटी का रिजल्ट घोषित होगया, इसी बीच परीक्षा मेंसवाल विभाग के गले की फांस बन गये। राज्य सरकारने दिसम्बर में भर्ती का विज्ञापन जारी कर दिया, लेकिन सवालों के जवाब को लेकर अभ्यर्थी कोर्ट गये और आगे की प्रक्रिया कोर्ट के आदेश पर चली, इसी बीच सूबे में 24 दिसम्बर से चुनाव आचार संहिता लागू हो गयी। राज्य सरकार को शिक्षकों की भर्ती के लिए दो महीनेकी मोहलत तो मिली है, लेकिन अब भर्ती का मानक बदलने की कवायद शुरू हो गयी है। शासन के उच्च पदस्थ सूत्रों का कहना हैकि अब फिर पांच गुणांक कीमेरिट से भर्ती की प्रक्रिया पूरी होगी। इसके तहत हाईस्कूल, इंटर, स्नातक, बीएड और टीईटी कीमेरिट को मिलाकर अलग से मेरिट बनायी जा सकती है। इसके लिए अफसरों ने विभागीय स्तर पर मंथन शुरू कर दिया है। माध्यमिक शिक्षा परिषद के अधिकारी भी दबी जुबान से मेरिट का मानक बदलने की बात कर रहे हैं। एक अधिकारी ने कहा कि वैसे भी यह पूरा मामला बेसिक शिक्षा परिषद का है, इसकेबारे में पहले ही मानक तयकर लेने थे। उल्लेखनीय हैकि नये शैक्षिक सत्र से शिक्षकों के पद रिक्त होने पर राज्य सरकार को आरटीई के तहत मिलने वाली मदद में कटौती की जा सकतीहै और यह धनराशि करोड़ों में होगी। इसका असर राज्यके सर्व शिक्षा अभियान परभी पड़ेगा और राष्ट्रीय अध्यापक शिक्षा परिषद नये मानक भी थोप सकती है।अभी तक राज्य को आरटीई लागू करने के लिए 65 फीसद केन्द्रांश व 35 फीसद राज्यांश मिलना है। अब पांच गुणांक की मेरिट से भर्ती की कवायद
    http://www.rashtriyasahara.com/epapermain.aspx?queryed=10

    ReplyDelete
  8. @.ye purani news dena band karo latest aaj ka amar ujala moradabad edition padho bharti tet merit se hogi.

    ReplyDelete
  9. किये ध्वस्त सभी के मनसूबे जैसे जंग- ए आजादी है ।
    नाम मुलायम सिंह है लेकिन काम बड़ा फौलादी है ॥
    माया से मोह भंग हुआ ,एतबार आप पर भारी है ।
    अपने वादों को पूरा करने की अब बनती जिम्मेदारी है ।
    बेरोजगारों की फ़ौज खड़ी जैसे मन में लाचारी हो ।
    भैया अखिलेश कुछ जतन करो ,चेहरों पर रौनक जारी हो

    ReplyDelete
  10. @.Said

    ~DUNIYA ka koi bhi COURT ye nahi keh sakta ki agar dhaandli hui hei .....
    To TEST ki jgah ACD MERIT bana do....

    ~Apne man ko samjhate rehna....

    ~Jaanch kara kar TET MERIT is Best....

    ReplyDelete
  11. aaj cort me beas kasi chal ra hi hai... dono parties maujood hai ya nahi...kisi ko jankari ho to batae.....

    ReplyDelete
  12. Muskan jee,

    Aap ka lakh lakh dhanywad,
    Agar aapka ye BLOG nahin hota, to ham logon ko latest jaankarian nahin mil patee.

    Na pradesh ke itne log jagrook ho paate, ek doosre ko jodne ke liye aapke BLOG ne bahut bada kary kiya hai.
    Kaee Logon ne ek doosre ko Mobile no. is BLOG par diye , kae logon ne comment ke madhyam se mehtvpoorn jankariyan dee.

    Thanks a lot

    ReplyDelete
  13. Vipin ji aap ki baat sahi hai. Yeh . Dwara di gai news old hai.

    ReplyDelete
  14. aap ne sahi kaha ..aj up bord ke exams ko le lo ....khule aam nakal chal rahi hai....aise to use bhi nirast kar dena chahiye...par nirast nahi karte ...?...high school /inter me khule aam nakl kar ke bsc/ba me admission lete hai ...privet college khule aam nakal kara kar achi merit banate hai ...to phir ...sakari ya goverment college se padne walo ke kam number aate jis se be peeche ra jate hai ...islie acd merrit nahi banni chhiye....

    ReplyDelete
  15. sp govt bhi tet karane ke baad ghotale ke paise se tablet ,laptop, bhatta dena chahati hai

    ReplyDelete
  16. @Dear Dearer Dearest blog editor ji** you have done the greatest job for tet passed students otherwise we could not establish such a huge movement .kash media bhi isi tarah nishpaksh hokar karya kare to logo ko nyay milne me itni pareshani nahi hogi.

    ReplyDelete
  17. HIGHCOURT ME KYA CHAL RAHA HAI
    KYA AAJ FAISLA AA SAKTA HAI KOI TO BATAYE.

    ReplyDelete
  18. HIGHCOURT ME KYA CHAL RAHA HAI
    KYA AAJ FAISLA AA SAKTA HAI KOI TO BATAYE.

    ReplyDelete
  19. Mere vichar se mananiya mukhyamantri akhilesh yadav ka putala nahi foonkana chahiye. Kyunki unhone lathicharge ki ninda ki aur iski jaanch karwane ki baat ki. Dubara se aisa putla fookne ki koshish na kare balki lathicharge ki jaanch ka gyapan mukhyamantri ko saupe. Koi bhi negative karya na kare. mai bhi shanti march me shamil tha aur lathi charge par mujhe bhi bahut nirasha hua. Mananiya mukhyamantri ne 26 march ko tet passed candidate se baat sunane ka ashwasan diya hai aur tet candidate ke sath nyay karne ki baat ki hai. So think positive and do positive.

    ReplyDelete
  20. kya cort ka faisla aya ya nhi. ple koi btaye.

    ReplyDelete
  21. muskanji thanks for providing a platform where all uptet pass candidates shared their views and got united to fight against the injustice they are facing.all credit goes to your sincere efforts and information provided by you.

    ReplyDelete
  22. ye kaun pagla gaya??

    soch samajh ke likha karo yaha pe

    got it or not ??????

    ReplyDelete
  23. 30march ko lucknow chalo sabhi tet candidate ye sabhi ki ladai hai for all district uttar pradesh

    ReplyDelete
  24. Agar 31 march tak bharti pirkirya shuru nahi hoti hai to hum bahut vishal aandolan karenge

    ReplyDelete
  25. Mahesh ji aapki baat ka base kya ha ,pls.tell us...............

    ReplyDelete
  26. mahesh ji pagalkhane ka ek bed apka intzaar kar raha hai

    ReplyDelete
  27. wt s the possibility regarding cout decision over tet application issue ....some 1 reply me

    ReplyDelete
  28. mahesh ki kya position h ye koi tet fail h kya

    ReplyDelete
  29. aji isne tet pass karne ke liye paise diye hai tabhi kah raha hai tet radd ho gaya kyoki jaanch mai ye pakda jayega

    ReplyDelete
  30. 106 obc male arts mai kya chaoce. Plz tell me friends. Pankaj

    ReplyDelete
  31. is there any news about hearing of the day

    ReplyDelete
  32. dear help me my wife scored 93 art obc h kya chance h 800 n + sare center pr apply kiya h kya chance plz give ur guss

    ReplyDelete
  33. kyoki mostly obc girls ne above 95 and below 100 marks arts stream se liye hai

    ReplyDelete
  34. aaj ki sunwae ke bare me koe news mili ho to plz share kijiye

    ReplyDelete
  35. ankit ji i m also waiting for the news

    ReplyDelete
  36. unknown ji aapka ho jayega obc gen merit 100 tak jayegi aur girls obc merit 95 tak jayegi so don't worry

    ReplyDelete
  37. sandeep ji hearing ki timing 2 pm thi na ?

    ReplyDelete
  38. sab ye pooch rahe hai ki merit kitne par jayegia pahle ye batao tet ka kya hua jab tet rahega tabhi toh merit banaoge or jiska abhi selection nahi hoga uska agli bar number aa jayega kyoki ye certificate 5 year tak valid so control your emotion and wait for the judgment

    ReplyDelete
  39. ha mera dost high court mai hi hai but uska mobile switch off aa raha hai

    ReplyDelete
  40. Jahan tak suna hai,

    UPTET - PRT ka exam pass karne vale B. Ed dharee 1 Jan 2012 tak eligible hain,
    Agar Sarkar nayee bhartee aur kartee aur TET exam nirast nahin hota hai,

    Tab to sabhee TET valon ko Job mil jayegee

    Gr8 Gr8

    ReplyDelete
  41. mujhe lagta hai ko govt post ko increase karegi kyoki bed walo ke liye primary teacher ka bas yahi last mauka hai

    ReplyDelete
  42. First merit jo out hogi vo to high rahni hi hai.kyonki 110 vale ne 15 jagah form dale hai to kam se kam4ya 5jagah to uska number aayega.dheere dheere merit niche aati jayegi.

    ReplyDelete
  43. abhi tak ki koi report ho to post kare,

    ReplyDelete
  44. vipin ji court ka kya chal raha hai is there any good news?

    ReplyDelete
  45. b.ed tet walo ko 2 month ka time diya hai ncte ny lucknow me pardrshan karke hamne acha kiya soyi hui sarkar to jagi dekho aaj kya faisla ata hai

    ReplyDelete
  46. nitin ji appointment hokar rahega ya toh rule regukation se ya phir hamari gnadhigiri se

    ReplyDelete
  47. Sandeep ji mai khud wait kar raha hoon .shivkumar ji se bhi cöntect nahi ho pa raha.

    ReplyDelete
  48. good news hi hogi court me kyuki ye 9 april ki sunwai ko aaj suna ja raha h or faisla tet ky favour me ayega i think court ye decison degi ki jo student pakde gaye h unhe punish kare or jo begunah h unko job de

    ReplyDelete
  49. counselling on line hogi .....(agar hogi to) suppose apka 8 centr pr aya to apko ek choose krna hoga or us cntr ko click krte hi baki cancle ho jaynge i ll nt tk too much time

    ReplyDelete
  50. sandeep ji aap ki baat say mai sehmat hu joining to honi hai kyuki jo corrupt hai unki saja hume kyu mile

    ReplyDelete
  51. Online councelling hoti hai to bahut jaldi prakirya puri ho jayegi.

    ReplyDelete
  52. koi court ka faisla aaya hai kya jo online counselling ki baat kar rahe ho ap log

    ReplyDelete
  53. mera bhai diet par h unke pas phele hi information aa jati hai feeding ky time hi unke pas information a gayi thi

    ReplyDelete
  54. nitin ji pahle court ke decision ka bare mai batao koi update hai kya

    ReplyDelete
  55. court me kya hua koi to batao bhai..mera herat attck ho jayega..

    ReplyDelete
  56. Allahabad vale dosto hearing ki news do.

    ReplyDelete
  57. yaha sab bharti ki baat me lage hai pehle aag ka dariya to paar hone do

    ReplyDelete
  58. sandeep bhai kuch pata chala court ka

    ReplyDelete
  59. abhi tak apne case ki sunvai nahi hui hai

    ReplyDelete
  60. aj case ki sunwai muskil lagti hai kyoki time over hone ja raha hai

    ReplyDelete
  61. ye sab hame bewkoof bana rahe hai taki student kuch samay ke liya chup baithe phir koi naya tarika nikalenge hamari mango ko dabane ke liya

    ReplyDelete
  62. mere gen boys mai 121 marks hai kya mera selection ho jayega

    ReplyDelete
  63. Abki bar highcourt ke samne hi dera dal do.

    ReplyDelete
  64. kal ho na ho

    maine sirf 5 jagah se hi form bhara hai varanasi, mirjapur, ghazipur, allahabad, kanpur

    ReplyDelete
  65. case ki file no.5 par aa gayi hai,.,., yeh news aap ko kaise mil rahi hai.,.TET WEB

    ReplyDelete
  66. kya lagta hai aaj sunwai hogi ya nahi.,.

    ReplyDelete
  67. kanpur se hona to muskil hai ses 4 jagah se 100 per. Ho jayega

    ReplyDelete
  68. apne ek dost se jo ki allahbad me puri nigah lahaye hue hai...thodi der me aur news aate hi batata hu saathiyo

    ReplyDelete
  69. apne ek dost se jo ki allahbad me puri nigah lahaye hue hai...thodi der me aur news aate hi batata hu saathiyo

    ReplyDelete
  70. bhaiyo meri jab banegi tab dekhege abhi dua karo case nipat jaye aur humare favour me decesion aa jaye..

    ReplyDelete
  71. TET me 114 Gen. Male hai
    kya raebareli Me selection ho sakta hai?
    muskan ji, Plz bataiye.

    ReplyDelete
  72. are yar sabka selection ho jayega pehle aur kaam to nipat jane do

    ReplyDelete
  73. nahi lagi file judge uth gaya hai agli sunwai 9 april ko hi hai

    ReplyDelete
  74. High court ke judge bhi hamse maja le rahe hai.

    ReplyDelete
  75. 15 April se aachar sanhita lag jayegi.

    ReplyDelete
  76. mere obc sci 106 hai miene 15 jagah dala hai ky amera selection ho jayega

    ReplyDelete
    Replies
    1. Court nirnay de nahi raha tum log ho merit merit chilla rahe ho bhago yaha se .lucknow jane ke naam par tumhari fat jati hai.

      Delete
  77. http://compepaper.amarujala.com/svww_zoomart.php?Artname=20120322a_012102004&ileft=-2&itop=10&zoomRatio=130&AN=20120322a_012102004

    publish this news

    ReplyDelete
  78. soot na kapas......

    or

    gaon basa nahi .............

    ReplyDelete
  79. muskan ji mere comment ko publish karo pls

    ReplyDelete
  80. kya bhai ye high court kya kar raha hai mare hua ko mar raha hai

    ReplyDelete
  81. ....... DEKHA BADE KHUS HO RAHE THE... KYA HUWA... PHIR WAHI 9 APRIL 12 LAG GAYI NA ......... KEWAL EK DIN KE AANDOLAN SE KUCH HOGA NAHI......... REPEAT IT AGAIN AND AGAIN AND AGAIN....................

    ReplyDelete
  82. Sab milkar hum logo ko pagal bana rahe hai taki hum shant hoker baith jaye sunvayi abhi nahi honi hai hum sab ko milkar phir se lukhnow jana chahiye ye hum sab ki zimmedari hai 2000 logo ke jane se kuch nahi hoga 2 lakh logo ko sarko pe utar jana chahiye sapa ki sarkar pichre musalmano ko labh dend ke alava kuch nahi karegi kyoki use vote bank banana hai ab had ho gayi ab hum logo ko sarko par utarna hi hoga nahi to agla tet bhi ho jayega lekin pehle tet ka kuch nahi hoga isliye sathiyo jaag jao

    ReplyDelete
  83. Court kachari ne hi to india barbad kar diya.itni moti salary lete hai magar kam kuchh karte nahi.

    ReplyDelete
  84. Agar sarkar chahe to special adalat lagakar ek din me hi is case ka faisla kar sakti hai isliye sarkar par dabav banao

    ReplyDelete
  85. kya hoga is desh ka bhagwan hi jane baki ham log to ......

    ReplyDelete
  86. Sarkar jo dabab me aayi ye hamare shantimarch ka natija tha julelal park me baithne se kuchh nahi hoga ab court ko uski karya pranali ke liye jagao.had ho gayi yar .

    ReplyDelete
  87. Seeriya me ek berozgar larke ke aatmhatya karne se waha ki pualic ne kiranti kar di thi aur 40 sal purani sarkar ko ukhar ke phekh diya tha lekin yaha ki sarkar berozgaro ko pani ke pressure se phekh rahi hai

    ReplyDelete
  88. Pata nahin ye case itna lamba kyun chal rajha hai.

    Education Dept. aapas mein isko suljha kar khatm kar sakta hai.

    Advt. Junior afsar kee kaghe seniour officer ne nikal diya,
    To juniour iskee undertaking/authorization seniour ko dekar , kuch he ghanton mein case khatm kar sakta hai.

    Agar Desh par koee yaddh/ war ho jatee hai, to kya juniour officer, seniour kee baat nahin sunege,

    Usmein bhee Court fesla degee kya.

    Agar ye koee gadbad/gothala hota to to maan sakte the, kee court jarooree hai, ya sabooton kee jaroorat hai.

    Ajab Desh, Gajab Case.

    ReplyDelete
  89. 26 march tak wait karte hai,27 march ko agar koi good news nahi milti hai to 30 march ko ek bar fir se "LUCKNOW CHALO"

    ReplyDelete
  90. Are yar jo case lad rahe hai ye bhi dheele log hai .court me to case ki daily sunvai bhi ho sakti hai.kya pata inka lawyer mota maal khane ke liye dilchaspi na le raha ho.

    ReplyDelete
  91. Fesla chahe deree se aaye ya jaldee,

    Judge ko salary to utnee he milnee hai.

    ReplyDelete
  92. Ashish etawah mai obc art hu.mere 92 no. Hai mera kahi chance hai. Please inform me.

    ReplyDelete
  93. साथियो हमारे साथ धोखा पर धोखा हो रहा है केस की अगली तिथि 9 APRIL कर दी गयी है और आज सुनवाई भी नही की गई है।

    ReplyDelete
  94. अब हमे अपनी लड़ाई जारी रखनी होगी तब तक जब तक हमे नौकरी नही मिल जाती है 30 MARCH "लखनऊ चलो "

    ReplyDelete
  95. saale gaon bsa nahi lutere hazir,

    m r w a


    L i

    ReplyDelete
  96. Lucknow chalo abki bar sare news papers me date batani hai taki jyada se jyada log pahuche.

    ReplyDelete
  97. DOSTON MUHE LAG RAHA HAI KAHI NA KAHI KISI MAJBOOT MARG DARSHAK AUR ANUBHAV KI KAMI KE KARAN HAMARE ANDOLAN KI HALAT, ANNA KE RAMLILA MAIDAN KI TARAH NA HO JAE, FIRSTLY JOH COMMENT KRTE HAI, JARURI NAHI KI WOH SAB LUCKNOW PAHUCH HI RAHE HO LADKIYAN GHAR SE NIKALENGI NAHI JO BLOD HAI WOH NIKAL AYI HAI,

    SOMETHING AISA KARNA PADEGA KI JISSE
    JYADA SE JYADA LOGON TAK NEXT ANDOLAN KI DATE PAHUCHE...........

    i THINK BEFORE ANDOLAN PRESS CONFERENCE KARNA THIK RAHEGA KYONKI
    MAMLA UCHHAL CHUKA HAI AB NEWS CHANNEL WALE JYADA INTEREST LENGE,
    LIKE INDIA NEWS UTTARPRDESH, SEA NEWS LIKE LOCAL CHANNEL...........

    ReplyDelete
  98. AKHILESH KA PUTLA FUKNA EK BEVKOOFI BHARA KADAM HAI..........MUS'NT REPEAT......................

    ReplyDelete
  99. Kapil ke ghar ke aage bhi shanti march karo"get well soon"allahabad ke rahne vale dosto 5 ,5logo ka group banakar roj tet pass ko nyay do ke slogan likhkar har subhah jab judge log aate jate hai khade raho.judge nahi bhi dekhega to janta to dekhegi media to dekhega.

    ReplyDelete
  100. SALA KAPIL JAHAN MIL JAYE KHOPCHE ME LENE KA..................

    ReplyDelete
  101. Jo log teacher par hath uthate hai wo kamine hote hai jin logo ne teacher par lathiya mari hai unhe kxa kehna chahiye . Teacher rasht ka nirmata hota hai koi
    pm ho ,cm ho ,dm ho , sp ho ya koi bhi afsar ho sabhi ko kise na kise teacher ne hi jaroor padaya hoga magar yaha ke rasht ke nirmata ko lathiyo se mara ja raha hai bahut dukh ki baat hai kitabo me likha hai guru govind dou khare ka ke laghoo paye balihari guru aapne govind diyo bataye magar in logo ko ye pata hi nahi hai kyo ki ye nakal karke aur rishvat de kar afsar bangaye hai inhone in kitabo ko pada hi nahi hai jis desh me teacher ka apman kara jayega wo desh kabhi vikas nahi kar sakta

    ReplyDelete
  102. YEH ROODALI PANA CHHODO , APNE ANDAR

    BHAGAT SINGH KO JAGAO.........

    B C KARNE MEIN MAHIR LAGTE HO....

    LUCKNOW JANE MEIN KIRAYA YAAD AA JATA HOGA......

    AGAR HAI KUCHH KAR GUJARNE KI TAMNNA

    TOH FIRSTLY BLOG PAR NAAM KE SAATH
    HI COMMENT KIYA KARO..............

    NAHI TOH YEHI KEHNA PADEGA

    BAAAP MARE ANDHERE MEIN
    BETAA POWER HOUSE............

    CHALO LUCKNOW.....................

    ReplyDelete
  103. Gandhi me dam nahi gandhigiri me dam hai.Girls you can do it better.

    ReplyDelete
  104. YES GIRLS TUMHARE ANDAR EK AAG HOTI HAI...........

    ReplyDelete
  105. @Shailendra Mishra
    aap bilkul sahi kah rahe hai.

    ReplyDelete
  106. Dost mai lucknow gaya tha ek lathi bhi khai .jiska nishan ab tak hai.faisla lucknow se nahi court se aana hai.naam ki parvah tumhe hogi mujhe kaam ki hai.mai tumhara sahas dekh chuka ho itne logo me kitne log pite kyon bhagodo ki tarah bhage tum hame chhodkar.

    ReplyDelete
  107. DOTON EK KAAM AUR KAR SAKTE HAI.....

    JIS DIN ANDOLAN KI DATE NIKALTI HAI

    SABHI APNE JAANANE WALE KAM SE KAM 5 tet FREINDS

    KO SMS KARKE PROTSAHIT KAREN.......

    5-5 SE 50,000 BANTE HAI.........

    YAAD KARO WOH BHOOKAMP WALI AUR AADMI KE PATHHAR BANNE JAISI BEHOODA KHABREIN JAB RAAT MEIN
    FAIL SAKTI HAIN TOH KYA.....
    YEH NAHI....
    HAAN YEH BAAT AUR HAI KI....
    LOG PAHUCHNA NA CHAHE.............

    ReplyDelete
  108. Ballia walo 30 march ko lucknow chalne ki taiyari karo.sarkar our court dono ko berojgaro ke takat ka ehsas kara dena hai.Gharo me chudiya pahan kar bathane walo sadak par utaro.bina mange maa v bache ko dooth nahi pilati.yachna nahi aab ran hoga;sangram bada bhisan hoga.

    ReplyDelete
  109. ye kaise sarkar hai pehli mayavati sarkar ne garib berojgaro se paisa lota aur sarkari afsaro ke sath milibhagat karke paisa khaya,aur saja bhi bechare berojgaro ko pehle court ne case lataka rakha hai ab naye cm lathicharge karva rahe hai mai kehta ho sare students ko ek sath aana chahiye varna to ye neta ise tarha hum berojgaro ka soshan karte rahege agar dhandli hui hai to saja gunhegaro ko do bechare b.ed.berojgaro ko kyo pareshan kiya ja raha hai STUDENT'S UNION JINDABAD

    ReplyDelete
  110. kuch aaisa karo bhai ki hum sabhi jile ke tet pass candidates sangathit ho jaye hume apne taqat badhani hogi

    ReplyDelete
  111. Log lucknow kya jayenge logo ko to meeting me aane me bhi sharm lagti hai.

    ReplyDelete
  112. Friends ! Yadi 5-10 log kewl case ki date k liye rahen tabhi jakar ye final ho paayega. kyuki court ki badi purani nautanki hai.kabhi koi adv gayab rahega to kabhi koi sick leave le leta hai..Kapildev yadav ne to hindrance k liye hi case kiya hai wahin up govt ka rukh aap sab jante hi hain fir wo kyon prakriya tej karaye aur case ko preority pe le jaye..Hame hi kuchh karna hoga...Nahi to Ye case aise hi chalta rahega...Judge professional hain,we 10 baje chair pe baithte hain aur 4 baje ut jate hain...unhe isse koi sarokar nahi rahta ki aaj koi case final hua ki nahi. kyunki is maamle me unki koi jawbdehi tay nahi hai doston ! Arun Tondon bhi bina 2-3 date pe case ko sune judgement nahi denge...isliye sabse jaruri hai case properly lage aur mention karake use uper laya jaye. By hook or by crook ye karna hi padega. Lucknow dharna dene k sath hi ye karya bhi nitant aavshyak hai..
    PRASHANT PANDEY
    9450522774
    DEORIA

    ReplyDelete
  113. Sabhi sathio se anurodh hai ki 30 march ko locknow jane ke bare mai sabhi ko taiyar rakhe.....

    agar jordar pradersion ho gaya es bar bhi to sarkar bhi sarkari vakil se ye mamala jaldi nipatane
    ko kahegi.

    ReplyDelete
  114. friends agar 27 march tak kuch positive news nahi aati hai to fir 30 MARCH KO LUCKNOW CHALNA HIA IS BAAR DUGNI SANKHYA ME LOG PAHUCHE.,.,.

    ReplyDelete
  115. fir se ek baar vidhan sabha gerna hai,,.,.,

    ReplyDelete
  116. 30 March sarkar ko yakin dilana hoga ki bharti jarur hogi....
    kyo ki aage achar sangita lag jayegi aur ncte ki samay sima bhi samapt ho jayegi.....


    Jo karana hai abhi to kabhi nahi.....aage kanooni dav pench bahut lamba chalega......think it.

    ReplyDelete
  117. up ke sabhi tet pass students se meri ye request hai ki agar 26 march ke evening tak koi news nahi aati hai to vidhan sabha satra ke dauran hame lucknow pahuch kar fir se aandolan ke liy taiyar hona hai.,.,.is liye taiyari me jut jaye aur sabhi ko is bare me bata kar tyar kare,.,.,..suraj kanpur

    ReplyDelete
  118. Hello doston. mein Akhilesh bhai se umeed karta hoon ki woh hakikat ka sath denge aur jaldi hi decision lenge. court ne jo bhumika nibhai hai woh sarasar desh ke hit mien nahi hai. usko nyay ke sath yeh bhi dekhna chahiye ki time ki bhi kuch value hai aur bacchon aur teacher ka bhavishya latka hua hai. yeh kartoot acchi nahi hai.

    ReplyDelete
  119. up ke sabhi tet pass students se meri ye request hai ki agar 26 march ke evening tak koi news nahi aati hai to vidhan sabha satra ke dauran hame lucknow pahuch kar fir se aandolan ke liy taiyar hona hai.,.,.is liye taiyari me jut jaye aur sabhi ko is bare me bata kar tyar kare,.,.,..suraj kanpur 9336003746

    ReplyDelete
  120. sabase badi musibat to agala UPtet2012 hai... kyo ki jo bhi naye student samil hone ke liye court jayege.....ya koi naya case hoga.

    Socho jara yah bharati......2009 se chal rahi hai...

    .......rojgar hote huye bhi berojgar hai ham log.........
    INCREDIBLE INDIA

    ReplyDelete
  121. Tet uttrin morche ne 30 march ko lucknow chanle ka kiya aawahan.is tarah news ke roop me pradesh vale page par mukhya news paper me chhapwa diya jaye to bahut log lucknow pahuchenge.20 march ke dharne ki khabar un logo ko hi thi jo jila adhyaksh the. Mujhe batao kya jila adhyaksh sabhi logo ko phone kar sakta hai.kuch jilo me jila adhyaksho ne meeting ki kuch logo ko hi pata chala.akhbar har koi padhta hai.sabke phone no. Bhi hamare pass nahi.maine 5 logo ko phone kiya jaruri nahi ki ve log bhi 5 logo ko phone kare.abki bar lathicharj nahi hoga.isliye sab chale.date pahle confirm kar le vivekanand ji aur lucknow ke pass vale adhyaksho se puchhkar.

    ReplyDelete
  122. agar high court ke judge ke bacche pad rahe hote primary school mien tab hi unko bechaini hoti. ab to kidzee mien hain kya fark padta hai. is desh mien kuch nahin badla aajadi se ab tak sab ganda hai dirt hai badboo hai

    ReplyDelete
  123. chalo bhaiyon Lucknow aur Akhilesh Ji se hi ab kuch asha hai.

    ReplyDelete
  124. Sare news papers mai lagatar vigyapan dete raho......30 march tak...

    ReplyDelete
  125. jila adhyaksh ko chahiye ki apane- apane jilo mai banar lagayen...aur midia ka sahara le plz... prachr abhiyan tej kare............................................................................................................

    ReplyDelete
  126. ADITYA FAIZABAD,AB PATA LAGA KE LOG SAYAD IS SYSTEM PARESAN HOKAR HE ATANKVADI AUR NAXALEE BANTE HAI.

    ReplyDelete
  127. ADITYA FAIZABAD,allahabad ke bhai log kisi acche vakeel se milkar poocho ke case ke sunvayee jaldi kaise ho sakti hai.jai hoooooooooooooooooooooooooooo

    ReplyDelete
  128. Aaj u.p.tet pass shikshako ki baithak ---park mai hui jisme primary schools me bharti prakirya jaldi shuru karne ke liye lucknow me ---march ko 1o baje pahuchne ki ranniti tay ki gayi.aur jyada se jyada logo ke pahuchne ka aawahan kiya gaya.baithak me @,@,aadi upashthit rahe. Ye likhkar aap log news papers me dena shuru kar de ek nischit date tay karke. Agar aap aisa likhkar denge to ye khabar mani jayegi vigyapan nahi.free me kaam hoga.paise vigyapan ke jate hai khabro ke nahi.yadi log 10-10 rupees share karke poster chhapwa le aur public places par chipka sakte fir dekhna lucknow jaam ho jayega.

    ReplyDelete
  129. ADITYA FAIZABAD,banaras ke bhai log kapil dev yadav ke ghar ka address pata kar ke unse case wapas lene ka nevadan karo.

    ReplyDelete
  130. Hamari pahli chot sahi jagah par lagi hai bas sangthit rahane ki jarurat hai aur 30 ko adhik se adhik logo ko lana hoga tabhi sarkar media aur andhe court ki ankhe khulegi मुझे पता चला है कि BSP GOV. ने सभी जिलोँ के BSA से शपथ पत्र लिखवा लिया था जिसमेँ लिखा गया है कि हम विज्ञप्ति के लिये बेसिक शिक्षा परिषद को अधिकृत करते हैँ, इनको कोर्ट मेँ देना है पर सरकार पैरवी नही कर रही

    ReplyDelete
  131. @amit chauhan mainpuri
    aapki news ka source kya hai

    ReplyDelete
  132. pls amitji bataye ki aapko ye jankari kaha s mili or iske liye kya prayas kiye ja rahe h

    ReplyDelete

Please do not use abusive/gali comment to hurt anybody OR to any authority. You can use moderated way to express your openion/anger. Express your views Intelligenly, So that Other can take it Seriously.
कृपया ध्यान रखें: अपनी राय देते समय अभद्र शब्द या भाषा का प्रयोग न करें। अभद्र शब्दों या भाषा का इस्तेमाल आपको इस साइट पर राय देने से प्रतिबंधित किए जाने का कारण बन सकता है। टिप्पणी लेखक का व्यक्तिगत विचार है और इसका संपादकीय नीति से कोई संबंध नहीं है। प्रासंगिक टिप्पणियां प्रकाशित की जाएंगी।