/* remove this */ Blogger Widgets /* remove this */

Saturday, April 14, 2012

RTI Helpline Number

RTI Helpline Number


RTI Helpline Number : 01161117666


25 comments:

  1. @blog editor and all friends
    friends PIL allahabad highcourt me dal sakte hai par uske liye koi solid reason hona chahiye jo ki ye bataye ki kaise aapke adhikaro ka hanan ho raha hai
    abhi tak govt.ne tet par koi final decision nahi liya hai,isliye abhi govt./decision ke against aap koi PIL nahi dal sakte....
    Isliye pahle aap sab log ek ya do solid legal points par vichar kare ki kis aadhar par PIL dala jaye.....

    ReplyDelete
  2. Shiksha ka adhikar kanoon 1 April 2012 se prabhavee roop se lagu ha gaya (Ab pvt. schools bhee iske dayre mein aa gaye)

    Lekin yogya teachers ke avhav mein UP mein RTE kaise lagu hoga, bhartee kab tak hogee etc. etc.

    ReplyDelete
  3. @blog editor
    rte ko poori tarah lagoo karne ke liye govt.ke pas abhi march 2013 tak ka samay hai,aur sayad uske baad bhi aur samay de diya jayega

    teacher recruitment ke liye tet exam karwaya gaya tha,aur recruitment process pichali sarkar me suru ho chuka hai jis par kisi karan se stay hai...isme aapke adhikaro ka hanan kaha ho raha hai...

    ReplyDelete
  4. @ Muskan ji,
    Is bisay par ham pil nahi dakhil kar sakte, kyoki rte me jin bachcho ke adhikaro ka hanan ho raha hai, ya to yo ya fir unke parents hi pil dakhil kar sakte hai, hamare kisi adhikar ka hanan nahi ho raha hai. aur yogyta ka koi mapdand nahi hota, koi chinti se gyan prapt kar leta hai, aur koi.......

    ReplyDelete
  5. @.aap sahi kah rahe hai.abhi govt. Ne hamare adhikaro ka hanan nahi kiya hai isliye ham log pil nahi daal sakte .

    ReplyDelete
  6. @vipin
    mai ye nahi kah raha hu ki ham PIL nahi dal sakte balki ye kah raha hu ki kuch strong legal points par vichar kijiye jis par Pil dala ja sake

    ReplyDelete
  7. Aaap PIL Guideline dhyan se pad len -


    Koe bhee NGO / Public Person - Janhit ke lleye PIL daal sakta hai,
    jarooree nahin vo usse affected ho.

    Kahin(Shayd Karnmataka) kisan aatmhatya kar rahe the to SC ko dhyan dilane ke leeye PIL kisee ne NGO dalee
    ---------
    Janta Party ke Subrmanya Swami jee ne 2G Spectrum mamle mein SC mein janhit yachika dalee
    ---------
    Jarooree nahin kee vyakti seedhe prabhavit ho raha ho.

    ReplyDelete
  8. Hum bhi to parents hain.hum apne bachcho k liye pil dal sakte hain.

    ReplyDelete
  9. @blog editor
    aap meri baat ko najaradnaj kar rahi hai....mai ye puch raha hu ki janta ke adhikaro ka hanan kahan se ho raha hai...wo karan aap bataiye....kyoki govt.to kah degi ki process chal raha hai aur ruka hai to bhi uske pas kuch karan hai...

    ReplyDelete
  10. ADITYA FAIZABAD,
    @said,bhai bahut se reason mil jayenge jaise ke aapne gav me ya uske aas pass ke area me kisi na kisi school me primary teacher kum honge ya nahi honge .aap ka gav jis block me hoga waha bhi teacher kum honge.aur bahut sare reason mil jayenge .

    ReplyDelete
  11. @aditya
    govt.ke pas iske simple ans.honge,process chal raha hai,bharti jald hogi

    ReplyDelete
  12. Kamaal hai -

    Agar adhikaro ka hanan nahin hai to aap log kyon pradrshan kar rahe hain, pareshan ho rahe hain

    PIL ke leeye ground to bahut hain -

    1. RTI se pata kar sakte hain kee kya bhrtee ke leeye niyam parivartan ka praroop to tayyar nahin keeya gaya hai aur bhee isse jude mamle kee jankaree le sakte hain.

    (Agar mamla gambheer hai to koee candidate behad mansik avsaad mein hai to 48 hours mein bhee jaankaree lee ja saktee hai)

    2. Kya sarkar jald bhrtee kar pane saksham ho paygee, aur nahin to phir RTE kaise laagu hoga

    3. Vacancies kee current sthithi kya hai, inko bharne ke leeye kya kadam uthaye jaa rahe hain

    -------
    Aap vastvikta pata karen RTI ke madhyam se, phir un tathyo ko
    apne PIL mein use kar sakte hain
    ---------------------
    Sarkar kahegee kee bhrtee process mein hai, par vo process kab pooree hogee

    RTE to lagu ho chuka par teachers kahan hai
    --------------
    Lekin agar koee pareshanee nahin hai to wait for a month.
    Mene to logo kee pareshanee ko dekhte hue apnee rai dee thee.

    Ho sakta hai mein galat hoon, mein bhee koee expert nahin

    ReplyDelete
  13. Kisaan jab aatm hatya kar rahe the tab bhee sarkar ke paas reason the kee ham necessary action /karybahee kar rahe hain
    -----
    2G spectrum mamle mein bhee, Sarkar keh saktee thee kee-
    Ham jaanch kar rahe hain, dosheeyon ke virudd kadi karyvahe kee jayegee.

    etc. etc.
    ---------
    Par ye aap sabhee logo ke oopar hai, ki kya karna hai

    ReplyDelete
  14. @blog editor
    aap meri baton ko galat sence me na le....mai Rti ki baat nahi kar raha hu...mai Pil dalne ke adhar ki baat kar raha hu...

    ReplyDelete
  15. @said
    bhai yahi to chahta hu,ke goverment kutch stand clear kare,kum se kum iss matter ko latkaye na.

    ReplyDelete
  16. bakee vakeel sahab ka kam hai vo log jantay hai ke main matter kaise nekala jata hai.

    ReplyDelete
  17. Mr ".",

    RTI jaankaree ikathhe karne ke leeye hai,

    Kee vastvikta kya hai aur un tathyon /facts ko apnee PIL mein de sakte hain.
    ---------
    Khair jo karna hai, kareeye,
    I also know matter is under process but what srep govt. is going to take, how much time it will take
    (Info recd. through RTI)
    -------
    You people are educated enough and can take your decision.
    -------
    This matter is related with mass/ public interest.
    And delay in such matter affect lakhs of people.

    ReplyDelete
  18. bhai ANNA HAZARE ke sath jo vakeel baap beta rhatey hai uska naam dhyan me nahi aa raha hai.us aadmi ne bahut sare PIL daley hai...

    ReplyDelete
  19. Mr. "."

    Abhee mere face book par kisee Atul Tiwai ne message share keeya kee -
    Kee mein Aatm htya kar loonga
    (Jo kee bahut galat hai aur moorkhta hai),
    Aise logo ko mera suggestion hai :
    ----------
    Atul Tiwari jee, Agar apka mamla aisa hai to turant RTI se info le sakte hain (48 hours mein) ke kya bhrtee badlne ka koee masoda / draft tayyar kiya gaya hai, kya begunahon arthat honest candidates kee bhrtee ke leeye sarkar kuch karne ja rahee hai, yadi nahin. To seedhe Supreme Court mein chithhee de kar soochit kar sakte hain, Ho sakta hai SC is mamle ko PIL main badal kar karywahee kare. Par don't think negative, abhee bhaut kuch hai
    ----------

    ReplyDelete
  20. Dear Friends

    About PIL I am saying

    My child is reading in Pvt. School if Govt. will good teacher and good education than i will give the admission of my child in UP Primary School.

    so dear friend kaya yeh karan strong legal point nahi PIL kai layaiy. Koyki meray child molik adhikaro ka hanan ho raha.

    Isi prakar 50% TET pass candidate kay child ki study distrub ho rahi.

    so tell and support the PIL

    with love and regards

    Puneet

    ReplyDelete
  21. @puneet
    aapne jo reason diya hai ho sake to uspar kisi advocate se paramarsh le aur sath hi ye puche ki ye reason bharti prakriya ko jald se jald suru karne me kaise madad kar sakta hai....

    ReplyDelete
  22. @blog editor
    mai kisi ko depress karne ke liye nahi kaha ,mai sirf ye chahta hu ki sabhi points par log apne vichar de jisse sayad koi solution nikal jaye...
    ATUL TIWARI ji kyo itne depress ho rahe hai,jo ki aisi baten kar rahe hai...atul ji ho sakta hai aapko apni problem hi duniya ki sabse badi problem lag rahi hai....par friend aisa nahi hai,ya to aapne duniya nahi dekhi hai.... ya to kisi aur ka dard nahi dekha hai....

    ReplyDelete
  23. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  24. @ ATUL TIWARI G

    Kya aapki pareshani hamari pareshani se badhi h hamne 8-years ka lamba intejaaz kiya, apne haq k liye lade the, aaj bhi lad rahe h aur JAROORAT PADI TO SUPREME COURT MEIN BHI JAYEGE.

    BE BRAVE and have courage to FIGHT FOR RIGHT

    ReplyDelete
  25. main thing tell to Akhilesh. Primary teacher pass ratio 2.5 lakh out of 11.5 lakh and upper primary 2.1 lakh out of 5.2 lakh. lagbagh jo candidate pri mien pass hua woh upper pri mien bhi hua. paisa pri mien gaya kyunki seat jyada hain. bahut kam scale par corruption hua hai aur bekar mien sab teacher aur bacche ro rahe hain. gandi raajneeti.

    ReplyDelete

Please do not use abusive/gali comment to hurt anybody OR to any authority. You can use moderated way to express your openion/anger. Express your views Intelligenly, So that Other can take it Seriously.
कृपया ध्यान रखें: अपनी राय देते समय अभद्र शब्द या भाषा का प्रयोग न करें। अभद्र शब्दों या भाषा का इस्तेमाल आपको इस साइट पर राय देने से प्रतिबंधित किए जाने का कारण बन सकता है। टिप्पणी लेखक का व्यक्तिगत विचार है और इसका संपादकीय नीति से कोई संबंध नहीं है। प्रासंगिक टिप्पणियां प्रकाशित की जाएंगी।