/* remove this */ Blogger Widgets /* remove this */

Sunday, May 6, 2012

UPTET : संजय मोहन की कलई खोलने पुलिस पहुंची एलपीएस


UPTET : संजय मोहन की कलई खोलने पुलिस पहुंची एलपीएस
शिक्षकों ने बताया सच, फरार कारिंदों की तलाश में छापामारी

 
अमर उजाला ब्यूरो
लखनऊ। गाजीपुर पुलिस ने शनिवार को वृंदावन कॉलोनी में लखनऊ पब्लिक स्कूल (एलपीएस) की दो शाखाओं में तहकीकात की। पड़ताल में पता चला कि स्कूल की कमान संजय मोहन संभाले थे। इसके साथ पुलिस ने संजय मोहन के फरार दो कारिंदों की तलाश में कई स्थानों पर दबिश दी।
डीआईजी आशुतोष पांडेय ने बताया कि एसओ गाजीपुर मनोज मिश्रा के नेतृत्व में पुलिस टीम ने शनिवार सुबह वृंदावन कॉलोनी के सेक्टर-4ए व सेक्टर-2ए स्थित एलपीएस की शाखा में तहकीकात की। सेक्टर-2ए की प्रिंसीपल व शिक्षकों ने पुलिस को जानकारी दी कि संचालक सीपी सिंह की मौत के बाद से संजय मोहन ही स्कूल की कमान संभाले थे। इसके अलावा वह सेक्टर-4ए में स्कूल की शाखा का निर्माण करा रहे थे। स्कूल का मैनेजमेंट संजय मोहन के खास कारिंदे फारूख के हाथ में था। तहकीकात में खुलासा हुआ कि स्कूल की दोनों शाखाओं में सीपी सिंह के बेटे लोकेश से अधिक दखल संजय मोहन का था। पुलिस टीम ने लोकेश से भी पूछताछ का प्रयास किया लेकिन उनसे संपर्क नहीं हो सका।
इस बीच, विवेचक ने संजय मोहन के कारिंदे फारूख व अशफाक की तलाश में कई स्थानों पर दबिश दी। पुलिस का कहना है कि इन दोनों के हत्थे चढ़ने पर संजय मोहन से जुड़े अन्य राज उजागर होंगे। गाजीपुर थाने की पुलिस ने बृहस्पतिवार रात फोन पर मिली सूचना के आधार पर संजय मोहन के खास कारिंदे देव कुमार पांडेय को 17 लाख रुपये से भरी अटैची के साथ गिरफ्तार किया था। यह रकम टीईटी घोटाले की बताई गई थी, जो संजय मोहन की गिरफ्तारी के तीसरे दिन फारूख और अशफाक ने देव कुमार के हवाले की थी और देव कुमार ने उसे एक परिचित के घर में छिपा दिया था।
बिना सील
17 लाख से भरी अटैची पेश करने पर कोर्ट नाराज
लखनऊ (ब्यूरो)। पूर्व माध्यमिक शिक्षा निदेशक संजय मोहन के करीबी देवकुमार पांडेय को पुलिस ने शनिवार को 17 लाख रुपये के साथ अदालत में पेश किया। कोर्ट ने देवेंद्र को 17 मई तक न्यायिक अभिरक्षा में भेज दिया। कोर्ट ने रुपयों से भरी अटैची बिना सील किए पेश किए जाने पर नाराजगी भी जाहिर की।
टीईटी घोटाले के मुख्य आरोपी संजय मोहन के करीबी पांडेय को पुलिस ने गुरुवार रात गिरफ्तार किया था। पुलिस ने उसे शनिवार को जनपद न्यायाधीश कमल किशोर शर्मा की अदालत में पेश किया। उससे बरामद 17 लाख रुपयों से भरी अटैची भी पेश की गई। अटैची को सील नहीं किया गया था। इस पर कोर्ट ने नाराजगी जताते हुए कहा कि आरोपी को थानाध्यक्ष गाजीपुर मनोज मिश्रा ने गिरफ्तार किया है। चालान उपनिरीक्षक नजरुल हसन ने किया। थानाध्यक्ष कोर्ट में उपस्थित नहीं हैं। बरामद रुपयों को भी सील नहीं किया गया है केवल चिटबंदी की गई है। न्यायाधीश ने अपने सामने ही अटैची खुलवाकर देखी। उसमें एक हजार के नोटों की 13 गड्डियां व 500 के नोटों की 8 गड्डियां थीं। देव ने अपना पक्ष रखते हुए कहा कि उसे फर्जी फंसाया गया है। उसे चंद्रभान वर्मा के घर बुलाकर गिरफ्तार किया गया, यह पैसा उसका नहीं है।

एसीजेएम के निर्देशों का नहीं रखा ध्यान
पिछले दिनों मड़ियांव थाने की पुलिस ने भी चोरी के सामान को बिना सील किए अदालत में पेश कर दिया था जिस पर एसीजेएम नियाज अहमद अंसारी ने कड़ी नाराजगी जताई थी। साथ ही डीआईजी को पत्र लिखकर कहा था कि आगे से बिना सील बरामद सामान कोर्ट न भेजा जाए। अदालत में घटना की पुनरावृत्ति न करने का निर्देश दिया गया था लेकिन गाजीपुर पुलिस ने भी वही लापरवाही दोहराई।



News : Amar Ujala (6.5.12)

36 comments:

  1. naxal prabhavit jilo me phir rakhe jayenge Shiksha mitra.(mirzapur, sonbhadra, chandauli me)
    Amar ujala kanpur edition me pg no. 14 par.

    ReplyDelete
  2. muskan g good noon
    aapne chatting par rok kya laga di ha.jo chooti mansikta ke log hote ha vo hamesha choota hi sochete ha.ase log future main bhi roda attakate ha hum logo ko in logo ki waje se apna karya nahi rokna chaiya.apni process jaari rakhni chhaiya.

    ReplyDelete
  3. bhaiyo shiksha mitro ko bhi tet pass karna jaruaari ha by NCTE.

    ReplyDelete
  4. don sir /piyush ji follow this blog for chat http://joinuptet.blogspot.in/

    ReplyDelete
  5. Mera tet adhyaksho se vinamra nivedan hai ki gov ke sath aagami 14 may ko bharti ke sambandha me koi middle way ka chunav kare aur apni baat cm ke samne rakhe anyatha bed holder ke hath se ye job nikal jayegi.please please choose a middle way of recruits in prt please.....

    ReplyDelete
  6. Mujhe lagta hai ki hamare adhyaksh log bhi ye baat achchhi tarah jaan gaye hai ki ye gov kisi bhi tarah tet merit ke aadhar par bharti karna nahi chahti hai esiliye adhyaksh logo ka blog par aana band ho gaya hai.

    ReplyDelete
  7. mujhe sangharsh morche ke padadhikariyo se nivedan hai ki ve aapana mo. no. etc paper/blog par flash kare jisase age ki radanit par vichar kiya jaye tatha mamle ko sc me apane case ko le jane me madat mil sake
    der karna thik nahi hai
    ratnesh@rbj_sonebhadra

    ReplyDelete
  8. agar ham der karate hai to aur jyade mamla bigad sakata hai yese me sahi samay oar kadam uthana thik rahega

    ReplyDelete
  9. gov. ke numainde keval bal ka khal nkalane me hi juta hai
    kahi ka mamala ho kahi....shiksha vibhag koi bhi scam ho sabhi tet se jodane me hi masagul hai gov.
    kya ye samajha jaye ki jo ye tet parichha adhikari karaye hai ye to pahale se hi padasin hai to piche ki sabhi bharati galat hui hai (madhyamik).

    ReplyDelete
  10. tet ke sabhi bhaiyo se nivedan karana chahunga ki ve ekjut ho apne jile level par aur santi se anasan kare tatha adhikadhik lkw me pahuche tatha waha bhi uthit nirdeshan me santi march kare jisase srakar vibas ho jaye

    ReplyDelete
  11. kya koi rasta nai jisse 2.54 lac prt k vacency hum b.ed +tet pas se hi fill ki jaye.

    ReplyDelete
  12. MERA SABHI SAATHION SE ANURODH HAI KI AB CHUP BAITHNE KA SAMAY NAHI HAI HAME SABSE PAHLE AMAR UJALA KI PRESS KO PHOONKNA CHAHIYE KYONKI YE BHRAMAK OR JHOOTHI KHABREN NIKALATA HAI HAMARE PAKSH ME AAJ TAK EK KHABAR BHI NAHI NIKALI.

    ReplyDelete
  13. Rajnees ji aap sha kah rho ho ab esha hi karna parega....

    ReplyDelete
  14. mera tet me 112 hi aur acd 242.4 fredom fighter (obc) mera kya chance hi plz muskaan ji bataiye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Muskan ji to sham ko batayegi lekin mai abhi bata deta hun.aapka 120% chance hai chahe bharti tet se ho ya acd se.

      Delete
  15. Mai baar ye kah raha hun ki jab gov. Tet merit ke favour me nahi hai to hamlog baar baar tet merit kyo chilla rahe hai???kya koi aur tarika nahi hai es samsya ko solve karne ka???friends mai manta hun ki acd merit ,tet merit ke apeksha achchha nahi hai lekin acd jyada kharab bhi nahi hai.friends ab to kewal acd merit me hi kuchh sansodhan ho sakta yadi ye bharti tet merit se nahi hoti hai to.

    ReplyDelete
  16. yadav ji gov ne kb bola ki vo tet ki virodhi h

    ReplyDelete
  17. Sachin ji yahi baat yadi mai kahu ki aap kaise jante hai ki got tet supporter hai???

    ReplyDelete
  18. Dosto ye post mai hospital se kar rha hun...kal se mai admit hun...
    Dr ka kahana hai ki pressure aur mental stress ke karan mera BP low ho gaya hai...
    Pata nahi jinda bachunga ki nahi...sach bolu toh jine ka mann bhi nahi kar rha hai...
    Bas koi ye bataye ki meri galti kya hai ki mujhe ye din dekhna pad rha hai...sirf ek galti ki mai India jaise desh me paida hua...sharm aati hai khud ko india kahane me...aur wun khokhle jhuthe logo se b mera anurodh hai ki wo sach ko accept kare...sarkar aur nyaypalika dheere dheere ek ek kar ke ham sabhi ka jaan le rhi hai...AGAR MUJHE KUCH BHI HOTA HAI TOH ISKE JIMMEDAR SIRF YE AKHILESH YADAV KI SARKAR AUR HIGH COURT HOGA....
    Mai ek khush rahne wala dosto ke sath masti karne wala ladka tha...padhne me bhi thik hi tha...sab kuch achcha. Chal rha tha...mai ek job bhi kar rha tha...jaha achchi salory mil rahi thi...jab ye pata chala ki TET ke adhar par teacher bhart ki jayegi toh maine socha ki achche se mehnat kar ke achche marks lete aawu..maine job se resign kar diya..aur din raat padhai kar ke TET ka exam diya..bhagwan ki daya se 128marks bhi mujhe mile...ek midl class family ke liye isse badh kar kya khushi ho sakti thi ki wus ghar k ladke ko gov job milne jarhi hai...
    Fir sabhi bahut khush thhe...mehnat kar k pass hua tha khush hone par mera haq banta hai..jo log pass nahi ho paye jinke marks kam aye unhone ne kyu aisa kiya ki hamlogo ki khushiya marne par agaye...aur hamari adalat hamari sarkar bhi unhika galat ka sath kyu dene lagi...
    Baat ab sirf TET merit ya acdmic ka nahi hai baat ye hai ki hamlogo ne wusko dhyan me rakh k padhai ki sab kuch chhod ke TET pe dhyan dene lage...
    Mai puchna chahta hun ki mehnat kar ke achche marks laane ka kya yahi natija milega? Ki aj mujhe hospital me admit hona pada...aj mujhe kuch ho gaya toh kaun jimmedari lega mere ghar pariwar ki..mai apne ghar me sabse bada hun. 27yrs ki age me akar aisa din dekhna pad rha hai...
    Ap log yahi kahoge ki ek naukari nahi mili tohkya dusri milegi...mai puchhna chahta hun ye baat yaha kyu lagoo hogi...mai fail hua hota ya mujhse koi galti huyi hoti to ye baat kah k mai khud ko santvna de sakta hun...jab meri koi galti nahi hai toh hame kis baat ki saja mil rahi hai...
    Dosto mujhe kuch ho jaye toh meri lash ko CM ke ghar pe ya heigh court ke judge ke samne fek dena kah dena ki ye hai tum logo ka atyachar...pata nahi abhi kitne aur lashe dekhne ko milegi...
    Ye sab jo kuc ho rha hai jitna halke me liya jarha hai utna hai nahi...hamare jaise hazaro log bahut mushkil se ek ek din bita rahe hai...
    Mai puchhna chahta hun hamre tathakathit TET netawo se kya soch k wo aage aye thhe..usnhone jab bulaya tab mai lko gaya..laathi khayi danda khya...last time unhone lko bula ke ham logo ka majak bana diya...janta darbar me jana tha toh tabhi hamlogo ko bula liye hote..shayad janta darbar me 30000 ki bheed pahuchti toh ham jyda dabav bana sakte thhe..vastav me hamare TET netawo me durdarshita ki kami hai...2 3 din meeting kar k kya unhone janta darbar me jane ka faisla kiya tha?
    Agar wo thik se ran niti banaye toh hmare jaise bahut se student hai jo kuch b karne Ko tayar hai..jaise aj mai hospital me admit hun shayd kuch kar k marta toh hazaro logo ka bhal ho jata...
    Mujhe ab apni zindagi se koi pyar nahi rah gaya hai...sab kuch aisa lagta hai khatm ho gaya...sarkari vyavstha aur rajnitik dushmni sath me nyaypalika ka lachar nyay vyavstha inn sab ne mil kar hamre jaise pata nahi kitne logo ki zindagi barbad kar ke rakh di...
    Sirf ghar pe baithe rahne ke siwaye kuch nahi bacha hai...
    Good bye dosto pata nahi fir kabhi mai yaha blog pe kuch likhne k liye jinda b rahu ya na rahun...

    ReplyDelete
  19. ASHISH JI MAIN AAP KE COMMENTS JAROOR READ KARTI HOON.MAI BHI AAP KI TARAH HIGH TET SCRORER HOON.MERI AAP SE REQUEST HAI KI AAP DISAPPOINT MAT HOON.AAHHI KOI FINAL FAISLA NAHI HUA HAI,PICTURE ABI BAKI HAI DOST.DONT BE -VE.WE WILL WIN THIS BATTLE.LIFE DOESNT ENDS HERE.I HV FULL FAITH THAT WE WILL GET THIS JOB THROUGH THE PREDECIDED PROCESS WITH THE SAME ADV TAT 2 VERY SOON.SO GET WELL SOON.

    ReplyDelete
  20. BTC WALO KA kiya matter ha kiya ab unki bharti hamare sath hogi ya alag se plz koi bataye

    ReplyDelete
  21. dear ashish g ek bat bataun agar ham sabki taqdeer mai ye job likha hai to koi mai ka lal chin nahi payega aap hatash na ho ye to congress ki niti hai foot dalo raj karo kya uptet ctet mai antar hai agar nahi to job hmai puri india mai milna chahiae agar nahi to up borad ko chordke up mai kisi board ko job nahi milna chahiae aap ye soche ki aap tet pas hai aur job harhal mai milni hai

    ReplyDelete
  22. aaj kanpur me saket park me siksha mantri ka putla phooka gaya kafi log meeting me shamil the agla andolan jald hi lucknow me saare jila adhaksho se rai lekar date fix ki ja rahi hai (is baar andolan ugra hoga)so antim aur niryak aandolan ke liye kamar kas le

    ReplyDelete
  23. dhairya bana ke rakhe aap kyo itni jaldi hatash hai

    ReplyDelete
  24. asish bhai agar ye is 15 tak clear nahi karte hai to ,
    Up ko 'daag the fire' ke name se jaana jayega ,
    Aur rahi baat mehnat karne ki ,
    To bhai is job ke liye har vyakti ne bharpoor prayas kiya hai, isliye mai aapse nivedan karta hu ki, aap pareshan bilkul na ho,

    Ham honge kamyab:.......... 1 din,

    Man me hai vishwash .......Poora hai vishwash,

    Vishwash ko dagmagane na de bus 1 aakhiri jang . . Aur ham vijeta ghoshit jarur ho jayenge,

    Dont mind,

    And just chill

    ReplyDelete
  25. agar ye bharti nahi hogi , to kya sp sarkar koi vacancy fill kar payegi, katai nahi.
    kabhi nahi,
    Namumkin hai,
    But we unity,
    Dhairy aur vishwash rakhe,

    ReplyDelete
  26. Jaat netao ki tarah rail aur g.t. road par ye aandolan le jana padega
    Aur ye than lo ki 15 may ko aar ya paar
    Aur sabhe ek dosre ke contact me call karke aur is blog ke dwara
    Nahi to ye neta humko 2 saal tak bewkoof banakar smitro ko job de dege
    Jo mere sath hi y type kare
    Aur jo nahi hi
    Wo is blog se bhag jae

    ReplyDelete
  27. Jaat netao ki tarah rail aur g.t. road par ye aandolan le jana padega
    Aur ye than lo ki 15 may ko aar ya paar
    Aur sabhe ek dosre ke contact me call karke aur is blog ke dwara
    Nahi to ye neta humko 2 saal tak bewkoof banakar smitro ko job de dege
    Jo mere sath hi y type kare
    Aur jo nahi hi
    Wo is blog se bhag jae

    ReplyDelete
  28. muskan ji muzhe lagta hai ki iss news ki jagah iss blog par nahi hai..kyuki isse un logo ko support milta hai jo ye kehte hain ki TET mein bade level ki dhandli hui hai..ho sakta hai iss tarah ki news ko iss samay jayada importance dene mein sarkar aur media ki koi chal ho..baaki visitors kya socte hain iss baare mein...mein nahi bata sakta ..mushe aisa laga issiliye ye comments de raha hoon..

    ReplyDelete

Please do not use abusive/gali comment to hurt anybody OR to any authority. You can use moderated way to express your openion/anger. Express your views Intelligenly, So that Other can take it Seriously.
कृपया ध्यान रखें: अपनी राय देते समय अभद्र शब्द या भाषा का प्रयोग न करें। अभद्र शब्दों या भाषा का इस्तेमाल आपको इस साइट पर राय देने से प्रतिबंधित किए जाने का कारण बन सकता है। टिप्पणी लेखक का व्यक्तिगत विचार है और इसका संपादकीय नीति से कोई संबंध नहीं है। प्रासंगिक टिप्पणियां प्रकाशित की जाएंगी।