/* remove this */ Blogger Widgets /* remove this */

Tuesday, January 22, 2013

UPTET : Primary Teacher Recruitment / Counselling Information

UPTET : Primary Teacher Recruitment / Counselling Information  

Counslling Details ke leeye UP Basic Edu Board Ka Link - 

http://upbasiceduboard.gov.in/for%20web/consdoc2.pdf


*************
Ek Bhai ne FB par ye details share kee hai (Agar aapko oopar deeya gaye link se neeche dee gayee baten theek lagen, to upyog mein le sakte hain) -
COMPULSORY DOCUMENTS FOR COUNSLING[imp]


1. 10th Marksheet & Sanad
2. 12th Marksheet & Sanad
3. Graduation Marksheet & Degree ya Provisional Certificate (Jisne bhi abhi ek bhi provisional nahi banvaya hai. Counseling se pahle banva le )
4. B.Ed. Marksheet , Degree ya Provisional Certificate & NCTE approval letter (Jisne bhi abhi ek bhi provisional nahi banvaya hai. Counseling se pahle banva le )
5. TET 1-5 Certificate (Jisne abhi tak nahi liya hai turant apne Mandal ke JD Office se le le)
6. Nivas Praman Patra (Nivas Praman ptra satyapan ke liye click kare http://bor.up.nic.in/ppsatyapan/satyapan.aspx
jinka parman patra upar diye aye link par na ho vo http://edistrict.up.nic.in/certificate/certVerify.aspx is par bhi check kar le.)
7. Caste Certificate (OBC/SC/ST ke liye)( satyapan ke liye click kare http://bor.up.nic.in/ppsatyapan/satyapan.aspx)
8. Viklang Certificate (Physical Handicap students only)(CMO Office se bana hua)
9. Notry se bani 10 rs ke stamp par 2 sapth jo Vigyapan ke page number 16 ke praroop par honi chahiye.
(Vakil/Vendor ko paise dekar banava le )
10. Registration Slip, E challan ki student copy & Avedan ka Print. (Kho gai hai to Edit kar ke banva le. jo person meri tarah Computer me farji kaam karne me expert ho uski sahayata le. Duplicate Banate samay sabhi technical baato ka dhyan rakhe. Kisi kam IQ vale person ka istemal na kare)
12. 4 Passport size photo jo Avedan me lagai hai. (Same photo ki jaroorat padegi extra 8-10 aur rakh le. Shaadi me bhi kaam aa jayegi)
13. Original Pahchan patra Jo Avedan me mention kiya hai. (GO ke anusaar vahi ID chahiye jo aapne form me likhi hai. Kho jane ke case me DIET se jakar is matter ko puchh le)
14. Upar diye gaye sabhi documents ki 2-3 Set attested photocopy set. (4 set banava le to bahtar hai. 2 set Gustted adhikari se attest kara kar rakh le. 2 set blank rakhe. Agar Self maange to khud aapko sign karne me kitni der lagegi. Lekin counseling ke samay gusted adhikari ek dam se milna muskil hota hai. Gustted adhikari ya principal se attest 2 set jaroor rakhe )
15. Ek plastic document bag jisme rakh kar apne certificate DIET me jama karege. (Plastic document bag aisa le jiske ander aapki sari degree aur marksheet band ho jaye. Kuch DIET UP me to jangal me basi hai janha aas paas stationary ki dukaan bhi nahi hai. Isliye 15-20 rs kharch kar lejiyega pahle he)


18 comments:

  1. Muskaan mam, mera rohit1783, gopal1783 dono ID Chat box par Bann dikha rha hai.... Plz... HELP me...

    ReplyDelete
  2. Hello dosto, mera gunank 67.50 hai, maine kewal HATHRAS me apply kiya hai, jahan general rank 1700 hai... mera kya chance hai ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Amit tumhara doosri list mein pakka ho jayega...pahli list mein 1000 candidates liye jayenge 200*5=1000..doosri list mein shesh candidates ka 5 guna...to tumhara pakka ho jayega...agar doosri mein bhi kaise bhi nahi hota hai to 3sri list mein ekdam pakk ho jayega...
      Congratulations
      wish u all d best

      Delete
  3. BHAIYO YE NCTE LETTER KHA SE PRAPT KRNA H PLZ PTA HO TO BTAYE JARUR THNX,...........

    ReplyDelete
  4. b.ed. College se ncte letter ki photo state milegi. Principal ki mohar v sign kra lena.

    ReplyDelete
  5. Sir ji I have a domicile made in 2003 is it valid or is there any other way for the renewal of d document

    ReplyDelete
  6. Bhai 2 sapth vagyapan ke page 16 ke prarup per honi chaiya ye sapath stamp per likhi hai ya prarup per aur ab to vigyapati bhi nahi aa rahi hai kha se le page no 16 ye sapth page 16 per hai kya jo dekh ker stamp per likhni hai
    Plz get reply any one

    ReplyDelete
  7. govind ji lakhimpur me meri rank 7000 aur sitapur me 9000 hai gunaak 66.50 general hai,,, eastern up k jyada seats vaale district fill kiye hai,,, mera kaha par ho payga ??
    aur ye 2nd list aur 3rd list se kya mtlb hai???

    ReplyDelete
  8. pl. Koi bataye k ncte approvel letter kya h. Ye kaha se milega. Kya iski jarurat sabhi ko h.

    ReplyDelete
  9. pl. NCTE. approvel lettdr k bare m batay.

    ReplyDelete
  10. Mera gunank 65.4 sitapur me rank 19400 kya hoga pl. Tell me

    ReplyDelete
  11. Mera gunank 65.4 sitapur me rank 19400 kya hoga pl. Tell me

    ReplyDelete
  12. dear BLOG EDITER ji I can get my extra snaps as mentioned above but who will marry me?:)

    ReplyDelete
  13. Dear TET frndz !
    This is Shadab from Kanpur !
    VERY VERY IMPORTANT Information regarding Councelling****************
    Humare TET frndz ke councelling se related kuchh important sawal …..aur Basic shiksha sachiv Sh. Sanjay Sinha ji ke jawaab*************************
    Ques-1 - Kya abhyarthi ek se adhik zilon me councelling me hissa le sakta hai ?
    Ans :- NO , Ek zile me councelling me bhaag lene ke baad abhyarthi ko basic shiksha parishad ki or se jaari rank se BAAHAR kar diya jaaega. Isliye abhyarthi apni rank aur zile me khali seats aur cut off ke aadhar par decide karen k kis zile me councelling me bhag lena hai.*************************************************
    Ques-2- Yadi kisi abhyarthi ko lagta hai k uske anko ke anusaar usko rank nahi mili hai to wo kya kare ?
    Ans :- Agar kisi abhyarthi ko lagta hai ke uske saath nyaay nahi hua hai to wo apni samasya ko lekar COUNCELLING SE PAHLE “BSA” ki or se gathit councelling commeti ke saamne apni baat rakh sakta hai**********************************************************************
    Ques- 3 :- Abhyarthi ke apne zile me achchhi rank nahi mili hai aur doosre zile me achchhi rank mili hai to wo kahan councelling karaaye ?
    Ans:- Zile me khaali seats , Zilewaar jaari cut off aur apni rank ke aadhar par abhyarthi zile ka chunao Karen . EK BAAR COUNCELLING ME BHAAG LENE KE BAAD DOOSRE ZILE ME MAUKA NAHI MILEGA ********************************************************************************
    Ques- 4 – PAHLE DAUR KI COUNCELLING ME RANK AANE KE BAAD BHI USME SHAAMIL NAHI HONE PAR KYA DOOSRE CHARAN ME AVSAR MILEGA ???????????
    Ans :- “Yadi abhyarthi ka naam councelling ki shreni me aata hai aur wo usme shaamil nahi hota to US ZILE ME USE DOBARA MAUKA NAHI MILEGA****************************
    Basic Shiksha sachiv Shri SANJAY SINHA ne Allahabad k ek famous newspaper me TET abhyarthiyon ke sawaalon ke jawaab me ye sab kaha hai …………….. agar aap sab ko meri baato pe vishwaas na ho to bilkul bhi VISHWAS na kariye …….. Sach ka pata khud lagaiye….. THANX…………shad8762@gmail.com(FACEBOOK)…….cntct:- 9307476428

    ReplyDelete
  14. My Calculation for ....Kushinagar , Behraaich , Gonda , and Sitapur*********
    ***********************************************************
    My cousin's gudaank is 67.94 (GENERAL)..and HE IS SAFE IN THESE FOUR DISTT.
    67.94 (GENERAL)
    Rank in KUSHINAGARr - 2911/4000 .... It means Cutt off= 67.0 approx
    Rank in BEHRAAICH - 3226/4000 .... It means Cutt off= 67.6 approx
    Rank in GONDA - 3702/4000 .... It means Cutt off= 67.8 approx
    Rank in SITAPUR - 6176/6400 .... It means Cutt off= 67.9 approx
    *******************************************************
    NOW ITS CLEAR THAT THE CUT OFF (GENERAL) OF
    KUSHINAGAR=67.0 (GENERAL)approx
    BEHRAAICH = 67.6 (GENERAL)approx
    GONDA = 67.8 (GENERAL)approx
    SITAPUR = 67.9 (GENERAL)approx ***************************************************************shad8762@gmail.com (FACEBOOK)......cntct- 9307476428

    ReplyDelete
  15. ncte letter kaise milega plz tell me bro.

    ReplyDelete
  16. Hi TET Frndz ! ………
    Aap sab kaise hain ? ….. Sabse pahle mai ye kahna chaahoonga ke mere sabhi Tet frndz ko agar meri koi baat buri lagi ho ya mere behaviour aur baton se takleef hui ho to I M EXTREMELY SORRY ! mujhe maaf kar dijiyega ! *****************************
    AB KUCHH ZAROORI BAATEN:-*******************
    1-High court ne over age walo ko 31 Jan tak aavedan karne ka aadesh de diya hai .. Clear hai ke ab to CUT OFF 30 Jan ko aana sambhav nahi. Ab dekhiye ke kya hota hai ! ******************
    2- Mere kuchh frndz ne bina naye NIVAS pramad patra ke hi aavedan kar diya . Ab ve sab pareshan hai ke kya Karen !. Actually sabhi ko pata hai ke NIVAS pramad patra aavedan ki tithi se pahle ka hona chahiye tha aur 6 mahine se adhik purana nahi hona chahiye….magar aise logo ne bhi aavedan kar diye jinke pass NIVAS pramad patra 1 ya 2 saal puraane hain. ….Isliye ab DIET jaakar zaroor pata kariye ke 6 mahine se zyada purana NIVAS chalega ya nahi.! ****************************
    3-Jin logo ne aavedan karne me galtiyan kar di thi unse PRATYAVEDAN ke liye kaha gaya hai , magar ab ve sab pareshan hain ke PRATYAVEDAN KAHAN KAREN AUR KAISE KAREN !waise pratyavedan kaise karna hai ye mai yahan batana sahi nahi samjhta kyu ke aap sab ko to pata hi hoga ! Iske liye bhi sahi jankari zaroori hai q k mauka baar baar nahi milega ! *****************************
    4- Councelling me GEN walo ke liye keval 36000 seats hain magar ve sab nuksan me hain q k GEN walo ki list me OBC aur SC \ST ke Toppers bhi aa jaayenge jabki unhe apni category me to sthan milna hi hai . yahi wajah hai ke sabhi zilo me GEN walo ko 1 pad par 1 , OBC aur Anya ko 1 pad par 3-3 log bulaae jaaenge . ****************************
    5- MERIT HUMARI UMMIDO SE HI BAHOT HIGH HO CHUKI HAI. Sabse mushkil me GEN wale hain . Pahli cnllng ke baad hi pata chalega ke GEN me 63 gudaank tak merit giregi bhi ya nahi . isi tarah OBC me 58 tak jana bhi mushkil hota dikh raha hai. *************************************
    6- Aap sab ne jinhe councllng me jana hai ab tak to bataye gaye praoop ke anusar 10-10 rs. Ke stamp paper pe halafnaama to banwa hi liya hoga. ***********************************
    7- humne 4 zilon me anumaanit CUT OFF aap ogo ko bata hi diye the(SITAPUR, KUSH NAGAR , GONDA & BEHRAAICH [sabhi 67.8(approx)] aur baaki zilo ke CUT OFF bhi humne calculate kar liye hain magar unhe abhi batana JALDBAAZI hogi………………. *********************************
    Aapka TET frnd …….SHADAB (KANPUR)……….shad8762@gmail.com(FACEBOOK)……….cntct-9307476428 (plz plz don’t call….agar aap kuchh kahna ya poochhna chahte hain then send only SMS with ur name & Distt.)

    ReplyDelete

Please do not use abusive/gali comment to hurt anybody OR to any authority. You can use moderated way to express your openion/anger. Express your views Intelligenly, So that Other can take it Seriously.
कृपया ध्यान रखें: अपनी राय देते समय अभद्र शब्द या भाषा का प्रयोग न करें। अभद्र शब्दों या भाषा का इस्तेमाल आपको इस साइट पर राय देने से प्रतिबंधित किए जाने का कारण बन सकता है। टिप्पणी लेखक का व्यक्तिगत विचार है और इसका संपादकीय नीति से कोई संबंध नहीं है। प्रासंगिक टिप्पणियां प्रकाशित की जाएंगी।